Is Karam ka Karoon Shukar Kaise Ada Hindi & English Lyrics

Is Karam ka Karoon Shukar Kaise Ada Lyrics by Nusrat Fateh Ali Khan is a new Sufi song lyric Is Karam ka Karoon Shukar Kaise Ada Full Naat lyrics that have been released in the very old year.

Is Karam ka Karoon Shukar Kaise Ada Lyrics

Ya Khuda, jism mein, jabtak ye mere jaan rahe
Tujhpe sadke, tere mehboob pe, kurbaan rahe…
Kuch rahe ya na rahe, par ye dua hai ke Ameer
Nizaa ke waqt salaamat mera imaan rahey…

Allah ki hum, jalwagari dekh rahey hai
Ya husn-o-jamaal-e-madani dekh rahey hai
Jis waqt padho, salle-ala-ab-e-Muhammad
Samjho ke Rasul-e-Arabi dekh rahey hai..

Andheri raat hai, shamshudoha ki baat karo
Sitaaron aao, rukh-e-Mustafa ki baat karo
Na ki ro baad mein, koi dusra sawaal karo
Khudara pehle mere Mustafa ki baat karo…

Be-bandagi, urooj kiya, banda kar diya
Taara mere naseeb ka, tabinda kar diya
Itni badi huzoor ki banda-nawaaziyan
Mujhko mere sawaal ne sharminda kar diya..

Is karam ka karoon shukr, kaise ada
Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya…

Mein sajata tha sarkaar ki mehfiley
Mujhko har gham se Rab ne baree kar diya…
Is karam ka karoon shukr, kaise ada
Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya…

Gham-e-ashiqui se pehle, mujhe kaun jaanta tha
Teri zaat ne banaadi, meri zindagi fasaana
Khaalik ne mujhko meri talab se sivaa diya
Sarmaaya-daar-e-ishq-e-Muhammad bana diya…

Is karam ka karoon shukr, kaise ada..

Aaqa ne aake khwaab mein jalwa dikha diya
Mein so raha tha mera muqaddar jagaa diya

Is karam ka karoon shukr, kaise ada..

Unki jab shaan-e-kareemi pe nazar jaati hai
Zindagi kitne maraahil se guzar jaati hai
Be talab mujhko diye jaata hai dene waala
Haath uthte nahi, niyat meri bhar jaati hai…

Unke karam se bhar gaya, daaman-e-arzoo
Itna mila ke ab koi haajat nahi rahi…

Is karam ka karoon shukr, kaise ada
Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya…
Mein sajata tha sarkaar ki mehfiley
Mujhko har gham se Rab ne baree kar diya…

Zikr-e-sarkaar ki hai badi barkatein…

Jab liya naam-e-Nabi, naam-e-Khudaa se pehle
Ho gayi mujhpe ataa, meri khataa se pehle…

Zikr-e-ahmed, ka wajeefa hai, har ek gham ka ilaaj
Lakh khatrein ho, isi naam se tal jaate hai…

Zikr-e-sarkaar ki hai badi barkatein
Mil gayi raahatein, azmataein, rifaatein…

Mein gunaahgar tha, be-amal tha, magar
Mustafa ne mujhe jannatee kar diya…

Lamhaa lamhaa hai mujhpar Nabi ki ataa
Doston aur maangun mein maula se kya…
Kya ye kam hai ke mere Khuda ne mujhe
Apne mehboob ka ummati kar diya…

Is karam ka karun shukr, kaise ada
Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya…

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा, जो करम मुझ पे मेरे नबी कर दिया

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
जो करम मुझ पे मेरे नबी कर दिया
मैं सजाता हूँ सरकार की महफ़िलें
मुझ को हर ग़म से रब ने बरी कर दिया

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा

ज़िक्र-ए-सरकार की है बड़ी बरकतें
मिल गई राहतें, ‘अज़मतें, रिफ़’अतें
मैं गुनहगार था, बे-‘अमल था मगर
मुस्तफ़ा ने मुझे जन्नती कर दिया

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा

लम्हा-लम्हा है मुझ पर नबी की ‘अता
दोस्तो ! और माँगू मैं मौला से क्या
क्या ये कम है कि मेरे ख़ुदा ने मुझे
अपने महबूब का उम्मती कर दिया

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा

जो दर-ए-मुस्तफ़ा के गदा हो गए
देखते देखते क्या से क्या हो गए
ऐसी चश्म-ए-करम की है सरकार ने
दोनों ‘आलम में उन को ग़नी कर दिया

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा

जो भी आए हैं महफ़िल में सरकार की
हाज़री मिल गई उन को दरबार की
कोई सिद्दीक़, फ़ारूक़, उस्माँ हुवा
और किसी को नबी ने ‘अली कर दिया

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा

कोई मायूस लौटा न दरबार से
जो भी माँगा, मिला मेरे सरकार से
सदक़े जाऊँ, नियाज़ी ! मैं लजपाल के
हर गदा को सख़ी ने सख़ी कर दिया

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा

Is Karam ka karoon Shukar kaise ada Naat Lyrics in URDU

اس کرم کا کروں شُکر کیسے ادا
جو مجھ پر میرے نبی کر دیا
میں سجاتا تھا سرکار کی محفلیں
مجھ کو ہرغم سے رب نے بَری کر دیا

ذکرِ سرکار کی ہیں بڑی برکتیں
مل گئیں راحتیں عظمتیں رفعتیں
میں گنہگارتھا بے عمل تھا مگر
مصطفٰی نے مجھے جتنی کر دیا

لمحہ لمحہ ہے مجھ پر نبی کی عطا
دوستواور مانگوں میں میں مولا سے کیا
کیا یہ کم ہے میرے خد ا نے مجھے
اپنے محبوب کا امتی کر دیا

جو در مصطفی کے گدا ہو گئے
دیکھتے دیکھتے کیا سے کیا ہو گئے
ایسی چشم کرم کی ہے سرکار نے
دونوں عالم میں ان کو غنی کردیا

کوئی مایوس لوٹا نہ دربار سے
جو بھی مانگا ملا میری سرکار سے
صدقے جاوں نیازی میں لج پال کے
ہر گدا کو سخی نے سخی کر دیا

is karam ka karoon shukar kaise ada naat lyrics

Related More Qawwali Lyrics:

Jazakallahu Khairan. hopefully, Is Karam ka Karoon Shukar Kaise Ada lyrics Hindi & English is helpful to you and please let me know if you have any corrections or additions in the Contact us section.

If you have any issues regarding the Lyrics of this Qawwali, please contact us. Thank You For Visiting my namazquran.com website, I hope you come! Again

इस पोस्ट को दोस्तों के साथ शेयर करे:
Shakil Ahmad

नमाज़क़ुरान.कॉम एक इस्लामिक वेबसाइट है जो शकील अहमद द्वारा 2021 में शुरू की गई है, ताकि दुनिया भर के लोगो तक ऑथेंटिक इस्लामिक दुआएं, नमाज़, कुरान और हदीस की रौशनी में जानकारी पहुंचाई जा सके।

Leave a Comment